Ahmad Faraz
Aasshiqi me “mir” jaise khawb mat dekha karo,
Baavle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo,

Jasta jasta parh liya karna mazaamin-e-vafaa,
Par kitaab-e-ishq kaa har baab mat dekha karo,

Is tamaashe me ulat jaati hain aksar kashtiyan,
Doobne waalon ko zair-e-aab mat dekha karo,

Mai-kade me kya takaluf mai-kashii me kya hijaab,
Bazm-e-saaqi me adab adaab mat dekha karo,

Maange maange ki qabaayen dair tak rehti nahin,
Yaar logon ke laqab laqaab mat dekha karo,

Tishnagi me lab bhigo lena bhi kaafi hai Faraz,
Jaam me sahbaa hai ya zahraab mat dekha karo

No comments:
Post a Comment