Wednesday, 27 May 2015

Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate..

Ahmad Faraz

Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate,
Warna itne to marasim they ke aate jaate,
Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha,
Apne hisse ki koi shamma jalaate jaate,
Kitna asaan tha tere hijr main marna jaana,
Phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate,
Jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi,
Pa-bajolaan hi sahi naachte gaate aate,
Us ki woh jaane usse paas-e-wafa tha ke na tha,
Tum Faraz apni tarf se to nibhaate jaate..

Aashiqi me “mir” jaise khawb mat dekha karo..

Ahmad Faraz

Aasshiqi me “mir” jaise khawb mat dekha karo,
Baavle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo,
Jasta jasta parh liya karna mazaamin-e-vafaa,
Par kitaab-e-ishq kaa har baab mat dekha karo,
Is tamaashe me ulat jaati hain aksar kashtiyan,
Doobne waalon ko zair-e-aab mat dekha karo,
Mai-kade me kya takaluf mai-kashii me kya hijaab,
Bazm-e-saaqi me adab adaab mat dekha karo,
Maange maange ki qabaayen dair tak rehti nahin,
Yaar logon ke laqab laqaab mat dekha karo,
Tishnagi me lab bhigo lena bhi kaafi hai Faraz,
Jaam me sahbaa hai ya zahraab mat dekha karo

Ab kya sochen kya halaat they..

Ahmad Faraz

Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran yeh zehr piya hai,
Ham ne us ke sheher ko choda aur ankhon ko moond liya hai,
Apna yeh sheva to nahin tha apne gham auron ko saumpein,
Khud to jaagte ya sote hain us ko kyun be-khawb kiya hai,
Khilqat ki awaazain bhi thi band us ke darvaaze bhi they,
Taaza rifaaqat ke mausam tak main bhi jiya hoon woh bhi jiya hai,
Ek Faraz tumhin tanhaa ho jab tak dukh ke rasiyaa ho,
Warna aksar dil walon ne dard ka raasta chorr diya hai..

Dhoondta phirta hoon logon main shabaahat uski..

Dhoondta phirta hoon logon main shabaahat uski,
Ke woh khawbon main bhi lagti hai khayalon jesi.

Aaj na hum se puchiye kesa kamaal ho geya..

 Aaj na hum se puchiye kesa kamaal ho geya,

Hijar ke khauf main rahe aur visaal ho geya..

Dil ka jhukao hijar ki janib balaaa ka hai..

Ab hum visaal-e-yaar se baizaar hain bohat,
Dil ka jhukao hijar ki janib balaaa ka hai..

Yoon hatam ho raha hoon main tere hijar main..

Yoon hatam ho raha hoon main tere hijr main,
Jese garmiyon main barff pahaarron ki..

Utre Hain Tare Tere Aangan Mein

Dekha Jo Utre Hain Tare Tere Aangan Mein
Ghar Jaayegee
Utar Jaayege
Doliyaan Chadh Jaayege
Mehandee Lagaayegee Re
Kaajal Sajaayegee Re
Dulhaniyaa Mar Jaayegee

Chaand Utra Maray Aangan Main

Utra Tha Chaand Hamary Aangan May
Per Sitaaron Ko Ye Gawaara Na Tha
Ham Tu Sitaaron Say Bhi Baghawat Kartay
Laikin Kia Kartay
Chaand He Hamaaraa Na Tha

Yar tha gulzar tha bad-e-saba thi main na tha –

Yar tha gulzar tha bad-e-saba thi main na tha
layaq-e-pa-bos-e-jan kya hina thi main na tha
hath kyon bandhe mere challa agar chori hua
ye sarapa shokhi-e-rang-e-hina thi main na tha
main ne pucha kya hua wo aap ka husn-o-shabab
hans ke bola wo sanam shan-e-khuda thi main na tha
main sisakata reh gaya aur mar gaye farahad-o-qais
kya unhin donon ke hisse mein qaza thi main na tha

Friday, 15 May 2015

Barish K Milne

Barish Me Milny ka wada tha tera...
       ... DOST ...
Ma kis say kahon jo tum say kahy...
K Aa jao Barish Lot ai hai...

Khud Bakhu Chor Gye

Khud bakhud chor gaye hain to chalo acha hai ,

Itne ehbab kahan hum se  sambhalay jate,

Hum bhi Ghalib ki trha koocha e jana se Mohsin ,

Na nikaltay to ksi roz nikalay jaty !

Wednesday, 13 May 2015

BAYABAN

Jee Bayaban Me kyu ni lgta
ghar me kia tha k jis ki yad ayi

Bht Pukhta Mizaj

Bohat pukhta mizaaj hai wo shakhs.....???
.
.
.

Yad rakhta hai........!
k yad ni krna. . .

Tuesday, 12 May 2015

HAYAT KIA HE

HAYAT KIA HE

WAFAT KIA HE

TMARA ANA

TMARA JANA

ME CHITYAN FAJRAN LBHNI HAN

ME CHITYAN FAZRAN LBHNI HAN

MENU GHUP ANDHERE LBHDE NE

MENU DIL DA MEHRM NI MILYA

MENU YAR BATERE  LBHD    NE

me udas hn

MERI TASHNAGI KA KHAYAL KR

ME UDAS HN MJE DEKH JA